Memories-2
Ye duniya do pal ki hai .Najany aik mulaqat ky bad dosri mulaqat ho gi ya nhi. Tu phr hm iss fani duniya my q hasd, bogaz aur keeny ko palty hai. Q hm aik dosry ky khilaaf rehty hai. Iss khaab jesi zindagi my agr ap ky paas mukhlis dost hai tu jan lijiye ky ap bohat khoshnaseeb hai. Iss matlabi duniya my agr koi bematlabi shakhs ap ky sath khara ho tu uss ki qadr kry. Aksr school aur clg life my hm apny doston se milty hai,jo hamari zindagi ki golden memories honi chahiye laikin hm aps my larr ky uss door ko zaya krdety hai. ZIndagi ka jo lamha guzr gya hai wo wapis nhi a sakta. Jb bhi doston se mily tu iss tarha mily ky dono tarf hamesha uss mulaqat ko yaad rakhy. Mery schooll,clg door ki bohat si memories hai jesy cricket party, farewall party ,class bunks, joy with teachers, mischies with friends_All these are part of my memories. Yaad rakhy ky jb ap memories ki qadr jany gy tu ap uss waqt pr pachtawa kry gy ky ap ny uss waqt ko yaadgaar q nhi bnaya. Baaz uqaat insaan depression ka shikaar bhi ho jata hai aur afsordagi ky alaam my hota hai . Laikin believe me agr ap ky paas achi yaadein hai tu ap gamzada nhi ho gy. Memories gathering se bnti hai aur gathering mohabat aur khaloos se hoti hai. Bs keny ka maqsad ye hai ky apni zindagi aisy guzaray ky ap bhi yad kr aur dosry bhi aur apny sath yaadon ka khazana bhi rakhy jis ki qadr ap ko bad my ho gi. Mery paas bohat si memories hai aur yehi waja hai ky man depression aur akaily pan se door rehta hon. Azma ky dekh lein.
Comments
Post a Comment