Mirror (آئینہ)_2
Ye zindagi jo Barit-ALLAH ny hmy ata ki hai musalsal jadojehad ka naam hai. Har lamha aik naya imtehan liya khara hai. Mukhtalif halaat ky majmoaay se zindagi janam leti hai. Iss duniya my khair bhi majood hai aur shr bhi. Bashar ky pas dil bhi hai aur dimaag bhi. Ab ye zimydaari insaan ki hai ky wo kis ka intekhaab krta hai. Khair maango gy khair mily gi,shr maango gy shr mily ga. Laikin koi tareeka hai seedhi rah pr rehny ka" Ha q nhi". Iss maqsad ky hasool ky liye aainy ki zarorat hogi. Aina kia hai?iss ki zarorat q hai? Ainy ka kaam hai ky jo usky samny rakho gy usy hi dekhay ga. Ainy ko farq nhi prta ky jo shakhs ya jo cheez usky hamra rakhi hai phr chahy wo sona ho ya saltanat ka badshah. Uska kaam tu haqeqat ka izhaar krna hai. Aina mehaz samny waly ka akas paish krta hai. Kia hota hai jb ainy ky samny kisi cheez ko rkha jai? Aina usky aaib,uski khosiaat sab eyaa kr deta hai. Ainy pr kisi ka zoor nhi chlta. Ainy ky akas ko badla nhi ja skta. ...