Mirror (آئینہ)_2

 Ye zindagi jo Barit-ALLAH ny hmy ata ki hai musalsal jadojehad ka naam hai. Har lamha aik naya imtehan liya khara hai. Mukhtalif halaat ky majmoaay se zindagi janam leti hai. 

  Iss duniya my khair bhi majood hai aur shr bhi. Bashar ky pas dil bhi hai aur dimaag bhi. Ab ye zimydaari insaan ki hai ky wo kis ka intekhaab krta hai. Khair maango gy khair mily gi,shr maango gy shr mily ga. Laikin koi tareeka hai seedhi rah pr rehny ka" Ha q nhi". 

Iss maqsad ky hasool ky liye aainy ki zarorat hogi. Aina kia hai?iss ki zarorat q hai?

Ainy ka kaam hai ky jo usky samny rakho gy usy hi dekhay ga. Ainy ko farq nhi prta ky jo shakhs ya jo cheez usky hamra rakhi hai phr chahy wo sona ho ya saltanat ka badshah. Uska kaam tu haqeqat ka izhaar krna hai. Aina mehaz samny waly ka akas paish krta hai. 

Kia hota hai jb ainy ky samny kisi cheez ko rkha jai? 

Aina usky aaib,uski khosiaat sab eyaa kr deta hai. Ainy pr kisi ka zoor nhi chlta. Ainy ky akas ko badla nhi ja skta. Janty ho Q?

Q ky haqeqat tu suraj ki manind hoti hai. Lakh khoshishy krny ky bawajod bhi haq hi zahir ho kr rehta hai.

Acha to ainy ky bary my maloom to hogya laikin kahan se mily ga aina?

Apny aas paas nazr dhorao. Tumhara momin bhai hi tumhara aina hai. Us aina daar ky dil my apny akas ko dekho. Kesy nazr ay ga akas?

Apny momin bhai se husn-e-salooq kr ky. Khayanat,gebat,jhoot,hasd.bugz,keeny ko trq kr ky. Kia hoga us se?

Allah tumhy apni makhlooq ky aaino se haqeqat dekhay ga. Jb tumhara dil aur dimaag tamam buraio se paak ho jai ga. Nafs ko maar kr,apni hasti ko fanaa kr ky,roh ko pakeeza kr ky jb Allah ki khidmat my sajda raiz hoga tu qainat ki har sheh my Allah Rabul-Izat ka akas dekhai dy ga. Chrind,prind,nabatat,haewaan sb Allah ky mojood hony ki ghawahi dy gy. Insaan zahir ki bejai dil ki ankh se dekhy ga. Dimaag ki jga dil se sochy ga. Har cheez my Allah ki qudrat ko payy ga. Ye fazal Rab-e-Talaa ka hai. Ye rehmat,ye nemat,ye ataa uss bandy ko siraat e mustaqeem pr gamzan rakhy gi. Nafs chahy saat moo wala azdaha hi q na hi kuch bura na kr saky ga. Wo banda-e-momin Rah-e-ishq pr chalty howy Allah ki talaash my khud ko waqf kr dy ga. Iss rah-e-salooq pr ussy iss cheez ka yaqeen hoga ky iss qainat ki har cheez ussi Zaat-e-Bar-Haq ki ghwahi dy rahi hai .

Allah usky gunnah dhoo dy gy aur paani ki tarha saaf kr dy gy. Wo dervish ainy ki manind shafaaf aur haqeqat ky kholy aam izhaar hoga. Wo shakhs dosro ky liye ainy ka kaam kry ga. Bholo,bhatkon ko apny amaal se apny qool-o-fail se rah-e-raast pr lay ga. 

Mery doston ab umeed hai ky ap ko ainy ki haqeqat maloom ho gai hogi.🤍

Inspired by series Yunus Emre❤️

JazakAllah

#mirror #yunusemre #drphotographer152🤍

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Autumn

Prism (mirror-2)

Eye contact 👁️